People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 4 *

Gali Gali Mein Kiya Re Badnaam
Singer: Asha Bhosle
Music: Madan Mohan
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hanste-Zakhm/Gali-Gali-Men-Ki
gali gali me kiya rey badanaam gali gali me kiya rey badanaam
mohe bairi ne mohe julmi ne mohe bairi ne mohe julmi ne
haye mohe bairi ne mohe bairi ne
gali gali me kiya rey badanaam gali gali me kiya rey badanaam
mohe bairi ne mohe julmi ne mohe bairi ne mohe julmi ne

chori se aaya ghunghata uthaya haye rabba
chori se aaya ghunghata uthaya pakadi kalaiy gale mujhko lagaya
chudi bazai maine gunguru chankaya laaj bachane vaha koi na aaya
mai kya karti mai kya karti mai kya karti haye ram haye ram
gali gali me kiya rey badanaam gali gali me kiya rey badanaam
mohe bairi ne mohe julmi ne mohe bairi ne mohe julmi ne

chaal suhani haye chadhti jawani usne pucha kaha jati ho rani
bolo kaha jati ho chaal suhani haye chadhti jawani
usne pucha kaha jati ho rani lakh manaya par mai na mani
vo tha diwana hui mai bhi diwani mai kya karti mai kya karti
mai kya karti haye ram haye ram

gali gali me kiya rey badanaam gali gali me kiya rey badanaam
mohe bairi ne mohe julmi ne mohe bairi ne mohe julmi ne
gali gali me kiya rey badanaam gali gali me kiya rey badanaam
mohe bairi ne mohe julmi ne mohe bairi ne mohe julmi ne
Aaj Sochaa Toh Aansu Bhar Aaye
Music: Madan Mohan
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hanste-Zakhm/Aaj-Socha-To-Ans
aaj sochaa to aansu bhar aaye
aaj sochaa to aansu bhar aaye
muddate ho gai muskuraae
aaj sochaa to aansu bhar aaye
aaj sochaa to aansu bhar aaye

har kadam par udhar mud ke dekha
har kadam par udhar mud ke dekha
unki mehfil se hum uth to aaye
aaj sochaa to aansu bhar aaye
aaj sochaa to aansu bhar aaye

dil ki nazuk range tutati hai
dil ki nazuk range tutati hai
yaad itna bhi koi na aaye
aaj sochaa to aansu bhar aaye
aaj sochaa to aansu bhar aaye

reh gayi zindagi dard banke
rah gayi zindagi dard banke
dard dil me chhupaye chhupaye
aaj sochaa to aansu bhar aaye
aaj sochaa to aansu bhar aaye
muddate ho gai muskuraae
aaj sochaa to aansu bhar aaye
aaj sochaa to aansu bhar aaye
Betaab Dilki Tamanna
Music: Madan Mohan
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hanste-Zakhm/Betaab-Dil-Ki-Ta
betaab dil ki tamannaa yahi hai
tumhe chaahege tumhe pujege
tumhe apanaa khudaa banaa_enge, betaab

sune sune khvaabo me jab tak tum na aaye the
khushiyaan thi sab auro ki, gam bhi saare paraaye the
apane se bhi chupaa_i thi dhadakan apane sine ki
ham ko jinaa padataa thaa, khwaahish kab thi jine ki
ab jo aake tum ne hame jinaa sikhaa liyaa hai
chalo duniyaa na_i basaa_enge, betaab

bhigi bhigi palako par sapane itane sajaae hai
dil me jitanaa andheraa thaa, utane ujaale aae hai
tum bhi ham ko jagaanaa naa, baaho me jo so jaaen
jaise khushbu phulo me tum me yun hi kho jaaen
pal bhar kisi janam me kabhi chhute naa saath apanaa
tumhe aise gale lagaa_enge, betaab

vaade bhi hai, qasame bhi, bitaa vaqt ishaaro kaa
kaise kaise aramaan hai, melaa jaise bahaaro kaa
saaraa gulashan de daalaa, kaliyaan aur khilaao naa
hansate hansate ro de ham, itanaa bhi to hansaao naa
dil me tumhi base ho, rahaa aanchal vo bhar chukaa hai
kahaan itani khushi chhupaa_enge, betaab
Hai Re Tauba
Music: Madan Mohan
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Hanste-Zakhm/Han-Yeh-Mana-Mer
hay tauba-tauba ye jawani ye jawani ka garur
ishk ke samne sar phir bhi jhukana hi pada
kaisa kahete the na aayenge, na aayenge magar
dil ne is tarah pukara tumhe aana hi pada
yeh mana meri jaan mohabat saja hai
yeh mana meri jaan mohabat saja hai
maja isme itna magar kisliye hai
maja isme itna magar kisliye hai
woh ek bekarari jo ab tak idhar thi
woh hi bekarari udhar kisliye hai
abhi tak toh idhar thi udhar kisliye hai
kisliye hai ha kisliye hai
ha yeh mana meri jaan mohabat saja hai
maja isme itna magar kisliye hai
maja isme itna magar kisliye hai

behalna na jane badalna na jane
tamanna machal ke sambhalna na jane
tamanna machal ke sambhalna na jane
behalna na jane badalna na jane
hay tamanna machal ke sambhalna na jane
behalna na jane badalna na jane
ho ho tamanna machal ke sambhalna na jane
ha tamanna machal ke sambhalna na jane
karib aur aao kadam toh badhaao
juka du na me sar toh sar kisliye hai
juka du na me sar toh sar kisliye hai
ha yeh mana meri jaan mohabat saja hai
maja isme itna magar kisliye hai
maja isme itna magar kisliye hai

najare bhi dekhe ishare bhi dekhe
kayi khubsurat sahare bhi dekhe
kayi khubsurat sahare bhi dekhe
najare bhi dekhe ishare bhi dekhe
kayi khubsurat ha sahare bhi dekhe
naam kya chij hai ijjat kya hai
sone chandi ki hakikat kya hai
lakh bahlaaye koyi daulat se
pyar ke samne daulat kya hai
ho ho najare bhi dekhe ishare bhi dekhe
hay kayi khubsurat sahare bhi dekhe
kayi khubsurat sahare bhi dekhe
jo maikhane ja kar main sagar uthaau
toh phir yeh nashili najar kisliye hai
toh phir yeh nashili najar kisliye hai
ha yeh mana meri jaan mohabat saja hai
maja isme itna magar kisliye hai
maja isme itna magar kisliye hai

tumhi ne savanra tumhi ne sajaya
mere sune dil ko tumhi ne basaya
mere sune dil ko tumhi ne basaya
tumhi ne savanra tumhi ne sajaya
mere sune dil ko tumhi ne basaya
jis chaman se bhi tum gujar jao
har kali par nikhar aa jaye
ruth jo toh ruth jaaye khuda
aur jo has do toh bahar aa jaye
ho ho tumhi ne savanra tumhi ne sajaya
hay mere sune dil ko tumhi ne basaya
mere sune dil ko tumhi ne basaya
tumhare kadam se hai ghar me ujala
agar tum nahi toh yeh ghar kisliye hai
agar tum nahi toh yeh ghar kisliye hai
ha yeh mana meri jaan mohabat saja hai
maja isme itna magar kisliye hai
woh ek bekarari jo ab tak idhar thi
woh hi bekarari udhar kisliye hai
woh hi bekarari udhar kisliye hai